How To Become A Successful YouTuber || Ek Successful YouTuber Banne Ka Amazing Formula


Hello Dosto Aj Hum Sikhege Ki Hum Ek Successful Youtuber Kaise Ban Sakte Hai.
Jaise Ki Hum Sab Jante Hai Ki Aj Ki Date Me Youtube Pe Millions Se Bhi Jyada Channels Aa Chuke Hai. Aise Me Agar Hum Abhi Channel Banake Ka Soch Rahe Hai To Competition Bahot Jyada Hai. Jis Topic Pe Hum Video Banane Wale Hote Hai Wahi Same Topic Pe Youtube Par Rank Kiya Hue Hazaro Video Hume Pahle Se Dekhne Ko Mil Jate Hai. Aiseme Agar Hum Bhi Same Topic Pe Video Dalege To Hamara Video Ranking Me Na Aa Pane Ki Wajese Views Nahi Aate Hai.
So Dosto Agar Ap Bhi Abhi Soch Rahe Ho Ki Apko Youtube Pe Channel Banana Hai To Aj Mai Apko Kuch Aise Tips Duga Jo Sabhi Successful Youtubers Ne Khud Humse Share Ki Hai.


1.  Make Your Content Unique
Agar Ap Bhi Youtube Par Video Dalna Chahte Ho To Ek Bar Jis Topic Me Ap Video Dalna Chahte Ho Oos Topic Ko Youtube Pe Search Karke Dekhiye. Ap Unn Sab Video Ko Acchese Observe Kariye Aur Jab Khudka Video Banao Tab   Ap Kuch Aisa Karo Jo Baki Youtbers Ne Apne Videos Me Na Kiya Ho. Matlab Kuch Aisi Uniqueness Dalo Apne Video Me Ki Koi Ek Bar Video Dekhte Hi Apka Fan Ho Jaye.

 2. Create Attractive Thumbnails
Koi Apke Video Pe Click Tabhi Karega Jab Oose Apke Video Ka Thumbnail Attractive Lagega. Mostly, Viewers Title Ko Jyada Nahi Dekhte Unka, Dhyan Jyada Se Jyada Thumbnail Ki Taraf Jata Hai. Isliye Ap Jab Bhi Video Dalo Tab Thimbnail Ko Attractive Banao.
Agar Apko Thumbnail Ko Attractive Banana Nahi Ata To Ap Hame Comment Box Me Jarur Bataiyega Jisse Ki Hum Next Time Apke Liye Thumbnail Ki Topic Pe Post Dal Sake.
 3.  Add Tags In Video
Agar Ap Chahte Ho Ki Apka Video Searching Me Ayee To Apko Video Me Tag Lagana Important Ho Jata Hai. Tag Lagane Se Ye Matlab Hai Ki Apko Apne Content Se Related Jo Bhi Keywords Hai Oose Wah Likh De. Isse Apko Fayda Ye Hoga Ki Ap Jab Bhi Koi Apke Video Se Related Keyword Ko Search Karega Tab Apka Video Bhi Searching Me Show Karega.


 4.  Try To Make Videos For 10min Or More
Aap Jitna Jyada Time Ka Video Banaoge Apke Channel Ke Liye Utna Hi Accha Sabid Ho Sakta Hai. Iske Piche Yeh Reason Hai Ki Jab Ap Long Videos Banate Ho To Apka Watchtime Badhta Hai. Aur Agar Apka Watchtime Badhega To Indirectly Apka Video Ranking Me Aa Jayega. Isliye Hamesha Try Kro Ki Video Kam Se Kam 10min Ka Ho.


 5.  Try To Use Face Cam For More Interaction
Huke Videos Me Face Cam Use Karne Ka Try Karna Chahiye. Kyuki Agar Hum Face Cam Use Karte Hai To Hum Hamare Viewers Se Ek Accha Interaction Kar Pate Hai Jisse Ki Unhe Bhi Video Dekhne Me Maza Aa Paye. Jitta Jaldi Ap Logo Se Interact Kar Lege Utta Jaldi Apka Channel Tezi Se Daudne Lagega.
 6.  Always Try To Give Reply To Comments
Apke Video Pe Jo Bhi Log Commemt Karte Hai Apko Oon Sab Ko Reply Karna Chahiye. Isse Apko Ek Advantage Aisa Milta Hai Ki Apki Value Unke Nazar Me Badh Jati Hai. Wo Log Sochte Hai Ki Sahi Me Ye Youtuber Hamari Help Krta Hai. Isliye Hamesha Sabhi Comments Ko Reply De Aut Sabki Help Kare.


So Dosto Yahi Sab Tips Hai Jo Ki Apko Ek Successful Youtuber Banne Me Help Kar Sakti Hai.
Agar Apko Aise Hi Aur Bhi Youtube Ki tips Chahiye To Hamari Website Se Jude Rahiye.

Thanks For Reading.

2 comments:

Powered by Blogger.