Top 4 Screen Mirroring / Remote Control Apps

So Hey Hello And Whatsup Guiz...Kaise Hai Ap Sabhi..? Ummid Karte Hai Ki Sabhi Thik Hi Hoge.

Aj Hamare 21St Century Me Itna Jyada Development Ho Chuka Hai Ki Ab Har Koi Kam Computer Aur Smartphones  Se Jud Gaya Hai. Har Kam Karne Ke Liye Hume Computers Ya Smartphones Ki Jrurat Padti Hai.

Imagine Kijiye Agar Apke Kisi Friend Ke Computer Me Kuch Settings Me Problem Aa Gai Ho Aur Apko Oose Thik Karna Ata Ho..Lekin Apka Friend Apse Bahot Dur Rehta Ho To Aiseme Ap Uske Computer Ki Setting Ko Kaise Thik Krke Dege? Iss Question Ka Answer Dene Ke Liye Developers Ne Kuch Aise Softwares Banaye Hai Jiski Help Se Ap Ghar Baithe Apke Friend Ke Computer Se Connect Krke Remotely Uska Computer Apke Ghar Se Hi Handle Kar Sakte Hai. So Aj Hum Apko Aise Hi Best 4 Application Ke Bareme Batane Ja Rahe Hai.


 1. Anydesk

Anydesk World Ka Sabse Fastst Aur Affordable Remote Control Software Hai. Isme Apko High Frame Rate Mil Jata Hai Jisse Ap Smoothly Work Kar Sakte Ho. Anydesk Online Teamwork Ke Liye Ek Bahot Hi Accha Source Hai Jaha Ap Apne Teamcode Par Easily Connect Krke Apne Friends Ke Sath Milke Work Kar Sakte Ho.
Ye Application Playstore Par Easily Available Hai.
Link- https://play.google.com/store/apps/details?id=com.anydesk.anydeskandroid



 2. Team Viewer

Team Viewer Se Ap Dusre Devices Se Remotely Connect Ho Sakte Ho. Ap Iss App Se Kisi Bhi Computer, Laptop Ya Smartphone Ko Apne Ghar Baithe Remotely Connect Kart Sakte Ho. Team Viewer Apko Free, Fast Aur Secure Remote Access Provide Karta Hai. Iss App Ki Help Se Ap Connected Devices Ke Sath File Remotely Share Aur Recieve Kar Sakte Hai. Isme Hume Highest Security Standard Mil Jate Hai. Iske Sath Hi Hd Sound Aur Video Quality Bhi Mil Jati Hai.
Iss App Ko Ap Playstore Se Bhi Download Kar Sakte Ho.

Link- https://play.google.com/store/apps/details?id=com.teamviewer.teamviewer.market.mobile

 3. Inkwire

Inkwire Se Ap Apne Android Device Ki Screen Kisi Bhi Dusre Android Device Pe Share Kar Sakte Hai. Connext Hote Hi Ap Ek Dusre Ke Screens Par Draw Kar Sakte Hai Aur Sath Hi Me Ap Real Time Voice Chat Bhi Kar Sakte Hai. Ye App Mostly Teaching Purposes Ke Liye Use Kiya Jata Hai. Agar Apke Family Me Kisiko Phone Ka Kuch Sikhana Ho To Ap Iss App Ko Use Krke Easily Sikha Sakte Hai.
Iss App Ko Playstore Se Easily Download Kar Sakte Hai.

Link- https://play.google.com/store/apps/details?id=com.koushikdutta.inkwire



 4. Apower Mirror

Apower Mirror Ek Aisa Application Hai Jiski Help Se Ap Apne Android Smartphone Ko Pc Pe Easily Mirror Kar Sakte Hain. Isse Ap Apne Android Aur Ios Ko Easliy Pc Pe Stream Kar Sakte Ho. Sabse Accha Feature Yeh Hai Ki Device Ko Mirror Krne Ke Bad Ap Apne Device Ko Apne Pc Se Hi Control Kar Sakte Hai. Apke Phone Pe Jo Bhi Notification Aa Rahi Hogi Wo Sabhi Ab Apke Pc Par Bhi Show Hogi. Aur Iss App Me Aisa Cumpolsary Nahi Hai Ki Apko Device Connect Krne Ke Liye Wireless Mode Hi Choose Karna Padega...Iski Jagah Ap Usb Se Bhi Connect Kar Sakte Ho.
Iss App Ko Ap Playstore Se Easily Download Kar Sakte Ho.
Link- https://play.google.com/store/apps/details?id=com.apowersoft.mirror



Ummid Karte Hai Ki Apko Hamara Ajka Article Pasnad Aya Hoga...Agar Ap Aise Hi Aur Bhi Articles Padhna Chahte Hai To Humare Website Se Jude Rahiye...

Thanks For Reading...

No comments

Powered by Blogger.